Tuesday, 22 March 2011

Hont(lips) Ki Problems


















Tips For Lips In Urdu

Hont ka phatna
Is ke liye rozana anaar istamal karain chand dinon main hont phatna band ho jaen ge.

Hont neelay hona
Is ke liye lemon ka ras aur glasreen mila ker rakh lain aur isay rozana hontoon per lagaen hont theek ho jaen ge.

Hont khubsorat karna
Is ke liye rozana raat ke waqat dood main zafraan mila ker pi liya karain chand dinon main hont khubsorat ho jaen ge.


Hont patlay karna
Is ke liye phitkari pees ker is main arqe gulaab mila lain is ko rozana honton per lagaya karain chand dinon main faeda mehsoos ho ga.


Honton ki siyahi door karna
1...Is ke liye rozana timater ka ras honton per mala karain. 
2...Kheeray ka ras honton per malnay se bhi siyahi door ho jati he.


Hoton ki khushki door karna
Is ke liye lemon ka ras ,glasreen aur arqe gulaab mila ke rakh lain isay rozana honton per lagaya karain do teen din main hi honton ki khushki door ho jae gi.


               


Monday, 21 March 2011

Kaan(Ear ) Ki Problems
















Tips For Ear In Urdu

Behtay hoe kaan
Is ke liye moli ke patton ko garam ker ke kaan mian nichorain to behtay hoe kaan theek ho jaen ge.

Kaan main pani perna
Ager kabhi kaan main pani chala jae to ultay paoon chalain to kaan ka pani nikal jae ga.


Zewer pehenne se kaan ka dukhna
Is ke liye jab bhi masnoe zewer pehanna ho to is ko pehanne se pahlay kaanon per thori si vasleen laga liya karain 


Kaan ka darad
1...Ager kaan main darad ho jae to kaan main rogane badaam dalain kaan ka darad khatam ho jae ga.
2...Piyaaz ka araq dalnay se bhi darad door ho jata he.
3...Serson ka oil halka sa garam ker kay kaan main dalnay se bhi darad door ho jata he.


Kaan main ant ya keeray ka chalay jana
Ager kabhi aisa ho jae to serson ke oil se kaan ko bher lain is tarhaan ant ya keera oper aa jae ga phir keera tinkay se nikal ker kaan ka oil saaf ker lain.




Friday, 18 March 2011

Baal (Hair) Ki Problems



Tips For Hair In Urdu

 Baloon ki khushki door karna
1...Is ke liye aadhi piyali dahi main aik anda phant ker mila lain is ko baloon main laga lain aur do ghantay baad dho lain.
 2...Narial ke oil ki malish kernay se bhi khushki door ho jati he.

Lambay ,ghanay aur chamakdar baal
Is ke liye amla, reetha aur sikakae raat ko pani main bhigo dain aur subha pees ker ser main laga lain phir do ghantay baad dho lain chand dinon main baal lambay ghanay aur chamakdar ho jaen ge.

Ball barhanay ke liye
Is ke liye panch tola khali serson ko aik pao pani main obal ker thanda ker lain phir is main lemon ka ras mila lain is ko baloon ki jaron main lagaen chand haftoon main baal barhna shuro ho jaen ge.


Baal safaid hona 
Is ke liye baalon main zaitoon ka oil lagaen baal safaid hona band ho jaen ge.Aur haftay main do baar kalay chanay paka ker khaya karain aur aalo gobi aur chawal ka istamal band ker dain.

Baal do moon hona
Is maslay ke liye rozana serson ke tail ki malish karain aur salad ka istamal barha dain aur proteen wali ghiza maslan anda dood aur dalain wagera istamal karain baal do moon hona band ho jaen ge.



Thursday, 17 March 2011

Haath,Nakhun Aur Paron(foot) Ki Problems

Haath Aur Nakhun Ki Problems
Tips For Hands And Nails In Urdu












Haath ka mail door karna
Haath ka mail door karne ke liye kalay ke chilkay haath per ragrain to mail door ho jae ga.


Haath naram karna
Is ke liye haath naram kernay ke liye haathon per zetoon ka oil malian hath naram ho jaen ge.Timater ka ras haathon per malnay se bhi haath naram ho jatay hain.


Ungliyon(finger) ki lambae barhana
Is ke liye rozana is tahan warzish karain aik haath ki ungliyon ko dosray hath ki ungliyon main phabsa ker khainchain.aisa baar baar karain is se fingers ki lambae barh jae ge.


Nakhun ka tootna
Is ke liye do tola pisi hoe phitkari main do lemon ka ras mila lain phir is amaizay ko roe ki madad se nakhun per lagaen chand dinon mainnakhun tootna band ho jaen ge.


Nakhun ki kharab rangat
Is ke liye do tola bhains ke dood main aadhay lemon ka ras mila lain phir is main nakhun dobo lain chand dinon main faeda ho ga.


Nakhun lambay karna
Is ke liye rozana nakhun ko lehsan ke pani main doboya karain chand dinon main nakhun lambay hona shuro ho jaen ge.



Paon(foot) ki Problems
Tips For Foot In Urdu



















Paron mai pasina aana 
Is ke liye jotay pehannay se pehlay paron ke talwon per thori si pisi hoe phitkari mal lain to pasina nahi aaega.


Phati hoe ariyaan 
Is ke liye rozana sonay se pehlay paon ko 15minutes tak qabale bardasht pani main bhigo lain phir khushak ker kay in per petrolium gell laga lain aur socks pehan ker so jaen chand din aisa kernay se ariyaan theek ho jaen gi.


Tang shoe ko behter karna
Is ke liye falaleen ke kapray ko taiz garam pani main bhigo ker nichor lain aur is ko jotay main rakh dain.germi ke sabab jota phayl jata he.


Paron ki badbo door karna
Is ke liye gole bagan ke char hissay ker lain aur in ko aik kilo pani main obaal lain jab neem garam reh jae to is se paon dho lain haftay main aik baar ye amal ker lain to paron ki badbo hamesha ke liye door ho jae gi.


Hath aur paon ki germi
Ager haath ya paron main jalan ya germi mehsoos hoti ho to kharbozay ke beej aur goda le ker hath aur paon main malain garmi door ho jae gi.


Paon ki moch theek karna
Moch wali jaga per garam pani se sikae karain phir gero pees ker aik anday ki zardi main mila lain is laip ko moch wali jaga per laip karain aur oper se kisi kapray ya roe ki madad se sikae karain moch theek ho jae gi




Tuesday, 15 March 2011

Chehray Aur Aankhon Ki Problems

 Chehray Ki Problems
Tips For Face In Urdu















Chehray ko surkh-o-safaid karna
Is ke liye podinay  ko pani main halki aanch per 20minute tak obalain aur chan ker frige main rakhain ya roz taza banaen.Rozana nahar moon ye pani do chammach pi liya karain chand dinon main rang surkh-o-safaid ho jae ga.


Chehray ki jhurriyaan
Is ke liye rozana do baar taza lemon ka ras chehray per malian aur aadhay ghantay baad dho lain do haftay main jhurriyaan khatam ho jaen gi.


Chehray ki jhaeyaan
Is ke liye paanch tola apple ke beej leker bareek pees lain is main aik tola haldi milaen aur is main itna lemon ka ras aur arqe gulaab milaen ke paste ban jae.Isko rozana raat ko chehray per lagaen do haftay main jhaeyaan door ho jaen gi.


Chehray ke siyaah dhabbay
Is ke liye paanch tola moli ke beej pees ker powder bana lain raat ko is main itna dahi milaen ke paste ban jae phir is ko chehray per lagaen aik ghantay baad dho lain do haftay main dhabbay door ho jaen ge.


Chehray ki kharish
Is ke liye moli ka pani chaan ker pun nikaal ker chehray per malain aur 15minute baad dho lain .Teen din main kharish door ho jae gi.


Chehray ke bareek danay
Is ke liye kali mirch ko gharay per rager ker is laip ko chehray per lagaen teen chaar dinon main danay khatam ho jaen ge.


Chehray ka rang nikharna
Is ke liye lemon ka ras, glasreen aur arqe gulaab baraber miqdaar main mila ker rozana chehray per lagaen chand dinon main rang nikher jae ga.






                              
                                                                                                                                                              
Aankhon Ki Problems
Tips For Eyes In Urdu


















Ankhon ke siyah halke door krna
1...Is ke liye rogan-e-badam halkon per mal liya karain siyah halkay door ho jaen ge.
2...Aalo ke katay halkon per rakhnay se bhi faeda hota he.


Palkain lambi aur ghani karna
1...Is ke liye rozana raat ke waqat serson ka oil lagaya karain chand hafton main palkain lambi aur ghani ho jaen gi
2...Shehad aur arqe gulaab mila ker palkon per laganay se bhi faeda hota he.


Ankhon ki surkhi door karna
Is ke liye bakri ke dood main roe ke tukray bhigo ker aankhon per rakhain chand dinon main surkhi door ho jae gi.


Nazer taiz karna
Is ke liye sonf, misri aur badam baraber miqdaar main pees ker mix ker lain aur rozana sonay se pehlay aik chammach ye safoof dood ke saath kha liya karain lekin is ke baad pani na piyen.Kuch arsa aisa kernay se nazer taiz ho jae gi.


Bhawain ghani karna
Iske liye rozana zetoon ke oil ki malish kiya karain chand hafton main bhawain ghani ho jaen gi.