Friday 18 March 2011

Baal (Hair) Ki Problems



Tips For Hair In Urdu

 Baloon ki khushki door karna
1...Is ke liye aadhi piyali dahi main aik anda phant ker mila lain is ko baloon main laga lain aur do ghantay baad dho lain.
 2...Narial ke oil ki malish kernay se bhi khushki door ho jati he.

Lambay ,ghanay aur chamakdar baal
Is ke liye amla, reetha aur sikakae raat ko pani main bhigo dain aur subha pees ker ser main laga lain phir do ghantay baad dho lain chand dinon main baal lambay ghanay aur chamakdar ho jaen ge.

Ball barhanay ke liye
Is ke liye panch tola khali serson ko aik pao pani main obal ker thanda ker lain phir is main lemon ka ras mila lain is ko baloon ki jaron main lagaen chand haftoon main baal barhna shuro ho jaen ge.


Baal safaid hona 
Is ke liye baalon main zaitoon ka oil lagaen baal safaid hona band ho jaen ge.Aur haftay main do baar kalay chanay paka ker khaya karain aur aalo gobi aur chawal ka istamal band ker dain.

Baal do moon hona
Is maslay ke liye rozana serson ke tail ki malish karain aur salad ka istamal barha dain aur proteen wali ghiza maslan anda dood aur dalain wagera istamal karain baal do moon hona band ho jaen ge.



1 comment:

  1. duble pan ke liye rozana subha ke walk kiya karain aur banana ka istamal karain .rozana raat ko sotay waqat dood piya karain aur fruit aur vegetables ka istamal karain

    ReplyDelete