Thursday 21 April 2011

Glasreen Se ilaaj
















Bachon ke dant nikalnay ke masail
Jab nannay bachon ke dant nikal rahe hon aur danton aur masooron main dard ho to masooron per glasreen ki malish karain  aram aa jae ga.

Zaban jal jana
Ager garam chae(tea) se zaban jal jae to din main do baar zabaan per glasreen lagaen  aaram aa jae ga.

Saans ki badboo
Is ke liye aik glass garam pani main aik tea spoon glasreen mila ker garagay karain saans khushgawar ho jae gi.

Ser ki khushki,Dandruff
Is ke liye ser per glasreen ki malish karain aur aik ghantay ke baad dho lain khushki door ho jae gi.

Jild naram karna
Is ke liye sonay se pehlay glasreen ki malish karain chand dinon main skin  soft ho jae gi.

Skin ki phoriyaan
Is ke liye din mian do baar glasreen lagaen chand dinon main in ka nishan tak mit jae ga.
Haath Paoon ke dhabbe door karna
Is ke liye rozana glasreen main lemon ka ras mila ker lagaya karain dhabbe door ho jaen ge.

Lipstick ke daagh door karna
Is ke liye daagh per galasreen malian phir pani se dho lain.

Paseenay ke daagh door karna
Is ke liye bhi daagh per galareen mal ker pani se dho lain.



No comments:

Post a Comment