Thursday 8 September 2011

Falto baal khatam karna

Hair removing ke liye jo ke aatay main thori si haldi mila ker goond lain aur rozana face per is ko mala karain ahista ahista baal khatam hona shuro ho jaen ge.

Saturday 20 August 2011

Germi Se Bachao


















1.Germi main  subha walk per jaen.
2.Pani ziada se ziada istamal karain itna ke pishaab white anay lage.
3.Taza fruit ka istamal karain.
4.Taza vegetables ka istamal karain.
5.Thanday mashrobaat ka istamal karain.
6.Lemoon pani ka istamal karain.
7.Halkay rangon ke libaas use karain.
8.Subha shaam nahaen.

Saturday 23 July 2011

Chehray Ke Danay

Chehrey ke danay door karna
Acne Solution
Ziada ter chehray ke danay is liye hotay hain ke face per oil aa jata he ya skin oily hoti he is ke ilawa ager balon main khushki ho to bhi chehray per danay ho jatay hain .Is ka hal ye he ke aap chehray ki skin ko oily na hone dain or skin ko saaf rakhain .Aur baloon ki khushki door ker kay rakha karain or baal khol ker na rakhain.Is tarhan aap danon se mehfooz rahain ge.

Tuesday 14 June 2011

Badaam Se ilaaj

Resha door karna
Ager nazla ya gala kharab ho aur akser resha ho jata ho to rozana raat ko sonay se pehlay teen danay badam aur teen kali mirchain chaba ker kha lain aik haftay main resha khatam ho jae ga.

Sunday 22 May 2011

Kalonji Se ilaaj 2

Dama theek karna
Is ke liye din main do baar aadha chamach kalonji tazay pani se kha lain to dama ke merz main faeda hota he.


Pait ke keeray
Ager kuch arsa kalonji khae jae to pait ke keeray mer ker kharij ho jatay hain.


Pait ki gas
Is ke liye rozana do baar saday pani se kalonji ka aadha chammach istamal karain chand dinon main gas theek ho jae gi.


Pait kam karna
Is ke liye rozana nahar moon aadha chammach kalonji pani ke saath istamal karain chand hafton main pait kam ho jae ga.



Monday 2 May 2011

Gharelo totkay

















Cheechak ke daagh door karna
Is ke liye pista leker is ka safoof bana lain .Raat ko sotay waqat is safoof ko daagh per 10 minutes tak maltay rahain phir so jaen 6maah main daagh aahista aahista theek ho jaen ge.


Nakseer band karna
Is ke liye neem ke pattay pees ker ser per rakhain is se nakseer band ho jae gi.


Flu theek karna
Is ke liye jaltay hoe koelon per thori si suger daal ker isay songhain zukaam door ho jae ga.


Jiger ke imraaz
Jiger ka koi bhi merz ho is ke liye raat ko aik radish ko shabnam main rakh dain subha nahar moon is ko kha lain teen haftay main jiger ke imraaz door ho jaen ge.


 Kali khansi ka ilaaj
Is ke liye haldi ki ganthain aag per bhoon lain aur iska safoof bana ker shishay ki bottle main rakh lain rozana teen mashay subha shaam istamal karain chand dinon main faeda hoga.


Bukhaar kam karna
Ager taiz bukhaar ho to bakri ka dood haath ,paon aur ser per malian bukhaar foran oter jae ga.


Haath jal jana
Ager haath ya jisam ka koi aur hissa jal jae to foran serson ka oil lagaen ya jalay hoe hissay ko serson ke oil main dobo dain chhalay nahain parain ge.


Zakham aaram karna
Is ke liye ghee main neem ke pattay jala lain phir is tail ko zakham per lagaen to zakham jald aaram ho jae ga.



Sunday 1 May 2011

Dantoon(teeth) Ki Problems















Tips For Teeth In Urdu

Peelay dant safaid karna
Is ke liye lemon ka ras brush ki madad se danton per lagaen chand dinon main daant safaid ho jaen ge.


Daant mazboot karna
Is ke liye namak pees ker serson ke oil main mila ker rakh lain rozana sotay waqat ye paste dantoon per laga ker thori dair raal tapkaen phir so jaen chand hafton main daant mazboot ho jaen ge.


Daant main keera
Is ke liye long ka oil din main teen dafa lagaen chand dinon main daantoon ke keeray khatam ho jaen ge.


Masooron se khoon aana
1...Masoron se khoon tab aata he jab pait main koi kharabi ho lehaza is ka ilaaj kerwaen.
2...Ager insaan ziyada dair khali pait rahe to bhi masooron se khoon aajata he.Is liye pait ko aath(8) das(10) ghanton se ziyada khali na rakhain.


Masoron ka waram door karna
Is ke liye mushak ,kafoor aur noshader aik aik tola pees ker mix ker lain aur subha shaam masoron per lagaen chand dinon main waram bilkul theek ho jae ga.