Sunday 22 May 2011

Kalonji Se ilaaj 2

Dama theek karna
Is ke liye din main do baar aadha chamach kalonji tazay pani se kha lain to dama ke merz main faeda hota he.


Pait ke keeray
Ager kuch arsa kalonji khae jae to pait ke keeray mer ker kharij ho jatay hain.


Pait ki gas
Is ke liye rozana do baar saday pani se kalonji ka aadha chammach istamal karain chand dinon main gas theek ho jae gi.


Pait kam karna
Is ke liye rozana nahar moon aadha chammach kalonji pani ke saath istamal karain chand hafton main pait kam ho jae ga.



1 comment:

  1. kalonji ke alawa aur cheezon kebaray main bhi likhna hota he werna log baqi cheezon ko nazerandaaz ker dain ge.

    ReplyDelete